Tuesday 6 September 2011

Khuda Ki Mohabbat Se Mamur Hokar

Khuda ki mohabbat se mamur hokar-2
Masiha uttar aaya hai noor hokar-2
.......Khuda ki mohabbat se

Woh aaya hai apne hi wade ki khatir
Liya janm usne kuwari se aakhir-2
Mushir aur malik abdiat wohi hai
Salamati ka bhi Shahzada wohi hai-2
Jaha ki khushi ka thikana nahi hai
Kisi Dil mein gam ka tarana nahi hai
...... Khuda ki mohabbat se

Dobara woh aayega kadir banega
Woh gamgeen Dil ko munawar karega-2
Huzoor uske tab shaadmani rahegi
Khushi woh badi aasmani rahegi-2
Nayi saltanat ka woh Raja banega
Sadakat se takht ko sambhale rahega
........Khuda ki mohabbat se