Saturday 26 February 2011

Lyrics- Aaye Ho Meri Zindagi Mein (female)

Film: Raja Hindustani

Female version

Aaye ho meri zindagi mein, tum bahar banke
Mere dil mein yunhi rahna, tum pyar pyar ban ke
Ankhon mein tum base ho, sapne hazaar ban ke
Mere dil mein yunhi rahna, tum pyar pyar ban ke- Aaye ho meri

Mere saathi mere sajan, mere saath yun hi chalna
Badalega rang zamana, par tum nahi badalna
Meri mang yun hi bharna, taare hazaar ban ke
Mere dil mein yun hi rahna, tum pyar pyar ban ke

Agar main jo rooth jaoon, to tum mujhe manana
Thama hai haath mera, phir umr bhar nibhana
Mujhe chod ke na jana, wade hazaar kar ke
Mere dil mein yun hi rahna tum pyar pyar ban ke- Aaye ho meri